Friday, February 10

online pese kese kamate hai

         online pese  kamane ke tari ke


Dosto apne Share Market se hone wali jabardast kamai ke bare me jarur suna hoga. Apki bhi iksha hui hogi ki main bhi Share Market me kaam karu. Aap ne dekha hoga ki bahut se log News channel ya News Paper me sirf Share market ke hi News dekhte hai. ve ghar baithe hi Online ya Phone se Trading karte hai aur News channel dekh kar Share Market me Nivesh kar achha kamate hai.





Isme thode vivek se aur soch samajh kar achhe anubhav se kaam kiya jay to aasani se paise kamaye ja sakte hai. Share Market me sabse jyada Utar-Chadhav hote hai,iske sath hi jokhim juda hota hai vo bhi paise ka. Agar aap lambe samay tak dhary rakhne me visvash rakhte hai to aapko Share Market me dhan kamane se koi nahi rok sakta.
Lekin Share Market me nivesh karne se pahle apko achhi tarah se in jaruri bato ko samajh lena chahiye…




Share Kya Hai ?
Share ek hissa hai, dusre sabdo me Share vah hissa hai jo Company ke maliko dwara jari kiye gaye dastavej hai. jo Share Market se kharida jata hai. Share kharidne ya Share malik hone par aap Share dharak Company ke utne pratishat malik ho jate hai. jitne pratishat Share apke pass hai ya kharide ja chuke hai. Jinme malik ke rup me Company ke kuch muddo par voting karne ka adhikar ho jata hai, jab tak us Company ke Share aapke paas hai.



Ye Post Bhi Padhiye –
 Blogging-se-paise-kaise-kamaye-Share Kaise Kharida Ja Sakta Hai ?
Share Kharidne ke liye apko apna Demate/Trading A/C kisi Bank, Company ya Dalal (Broker) ke pass khulvana hota hai. Aajkal sara system Online hai, Aap chahe to Software Download kar ke Sara kam ghar baithe apne Computer ya Leptop se kar sakte hai.
India me pramukh 2 Stock Exchange hai –
National Stock Exchange (NSE)
Bombay Stock Exchange (BSE)
Vaise aap 3 tariko se Share kharid sakte hai. –



Apne Broker (Dalal) Dwara
Khud Online
Initial Public Offring (IPO) ke madhyam se jab koi naya Share Isue karti hai.
Share Kab Kharide Aur Kab Baiche ?





Hum Share kharid sakte hai, lekin sawal uthta hai ki kab kharide aur kab baiche. Aaj hum Stock Market ka hestory dekhte hai to Share Market 5 saal me 1 ya 2 moke aise jarur deti hai. Jahan-Jahan Market bahut niche chali jati hai tatha bahut upar lagbhag naye record banati hai. Jahan jab Share Market niche jati hai to log bolne lagte hai, abhi aur niche jayega. Thik iske viprit, jab Stock Market upar jati hai to log bolne lagte hai ki Market abhi aur upar jayega. Atah nichale staar par hum kahrid nahi pate aur upar ke staar par bech nahi pate. Aise samay me hume moke ke anusar thoda-thoda karke kharidna chahiye tatha usi prakar baichna chahiye. Dhyan rahe ki Market humesha Graf ke hisab se chalti hai na ki sidhi ya tedhi line anusar.




Ataah: Sasta kharid kar Mahange  me bech dena chahiye yahi Share Market me paise kamane ka sutra hai.

No comments: