Gmail Par Email Account Kaise Banaye
Hello friends, aaj ka hamara topic he Gmail par Email Account Kaise Banaye. Aaj ki duniya mai har koi chahta hai ki uske pass ek email account ho. Sari duniya ab internet par aa gayi hai. Agar koi job ke liye apply karta hai to use email account lagta hai. Koi agar bank account banata hai to use bhi aaj kal email account lagata hai. Email account aaj kal ke jamane me ek important chij ban gayi hai. Abhi school aur colleges mai bhi padhane lage hai ki Email Id kaise banate hai.
Email Account ki jarurat
Aaj me aapko bade hi saral tarike se bataunga ki Gmail par Email account kaise banate hai or saath hi apne Email account ko safe kis tarah rakh sakte hai. Aaj kal hum jaha kahi bhi jaate hai to hum dekhte hai ki lagbhag har jagah aap se Email id maangi jaati hai, chahe wo online transaction ho, college, Banks, Government offices, jobs, marketing etc. Yaha tak ki aap jo computer, laptop, mobiles chala rahe hai unme bhi bahut saare software, Apps, registration, online shopping etc ke liye bhi Email id ki jarurat padti hai. Kul milakar ye kah sakte hai ki aaj ke yug me Email id hona bahut jaruri hai. Email account dene wali Gmail seva ke bare me hum janenge. Chalo to fir padhate he Gmail Kya hai, aur Gmail par Email Account Kaise Banaye.
Google Gmail Kya Hai
Email account ek messenger hota hai jisme aap apna Account banakar apni Email id or password create kar sakte hai. Gmail ek Google ki hi service hai jiske dwara aap text, images, document and other attachment kisi dusre person ko send or receive kar sakte hai. Aapki Email id do part me hoti hai, pahli to aap jo apni id name chunte hai or dusri Google ki virtual id jo change nahi hoti hai. Ye virtual id aapki mail id ko @ se do part me baant ti hai. Aap jo apni mail id ek baar bana lete hai to wo id pure world me sirf ek hi banti hai fir koi or us naam ki same mail id nahi bana sakta, for example abcd123@gmail.com.
Gmail par hi Email Account kyo banaye
Dosto Gmail Google ki hi ek service hai jo aapko ek acchi facility or security provide karta hai. Aap chahe to Yahoo mail, hot mail, Rediff mail par bhi apna Email account banakar apni mail id bana sakte hai, lekin aap agar Gmail par hi apni Email id banate hai to aap badi hi asaani se google ki other services ka bhi use kar sakte hai. Saath hi aapko apne mobile phone me play store or other apps par bhi account banane me asaani hoti hai. Aur aap apne Google account ko mobile se connect karke Google ki bahut saari services, products, Blog etc ko bhi asaani se use kar paate hai.
Gmail account banane ke procedure
Gmail ye Google ki ek free service he jisse hum free mai hamara email account create kar sakate hai. Account banana ke liye hame jana hoga gmail ki website par jo he
www.gmail.com. Pehle aap apna web browser khole. Usme www.gmail.com type kare aur wo website open kare.
GMail Kya Hai
Agle screen mai aapko ye screen dikhayi degi.
Create Account button par click kare.
Is screen par Create Account button par click kare.
Gmail par Email Account Kaise Banaye
Agli screen aisi dikhegi.
Email Account Ki Details Bhare
Yaha aapko aapki jankari bharni hai.
Apka naam, aapka gender, aapka phone number aur sabse important aapka gmail id. Jo id aapka Choose your username is box me likhana hai. Example : abcde.fghijk@gmail.com.
Saari jankari bharne ke bad aapko apna mobile number verify karna he. Filhal Next Step button par click kijiye.
Phone Number Verify Kare
Agle screen par aapko apna mobile number verify karna he, Google ye pata lagata he ki jo account aap bana rahe he wo sach me aapka account he ya nahi, isse fake accounts banana ki bohot kam chances rehte he.Is process me aapko apna mobile number Phone Number box me dalna he.aur Continue button par click karna he. Aapko aise screen dikhegi.
Email Account Kaise Verify Kare
Continue button par click karne ke bad aapke mobile par ek message aayega, us message me Google ne ek code send kiya hoga wo code 5 digit code rehta he, wo code bohot important hai, uske bager aap email account nahi bana sakte.
Phone Number Verify Kare
Wo code aapko is box me likhna he aur Continue button par click karna hai.
Email me login Kare
Uske bad aapka email account tayar ho jayega. Aapke pas aapka khudka email account hoga, abhi aap firse www.gmail.com par jaye. Waha apna email id aur password dale aur login kare. Login karne ke bad aap kisiko bhi Email send kar skte ho, Bahar se aaye hue emails padh sakte ho. Jab aapka kam ho jaye to log out karna na bhule. Aur aapka Gmail ka password kisi ko na de. Nahi to aapka Gmail account hack ho sakta he.
Mail kaise bheje
Apna Email account kholne ke baad aap Compose par click kare or isme aap-
To: me us person ka Email Address daale jise aap mail bhejna chahte hai.
Cc: me aap uska Email address daal sakte hai jisko es mail ki carbon copy matlab duplicate copy bhejna chahte hai.
Bcc: me aap us person ka Email address daal sakte hai jisko aap duplicate ki duplicate copy bhejna chahte hai.
Subject: me aap mail se juda huya topic daal sakte hai.
In sab ke baad aap mail type kar sakte hai or attachment me choose file par click karke koi bhi file chun sakte hai or akhir me send par click karde. Aapka mail send ho jayega.
Email account ko safe kaise kare
Email account ko safe rakhne ka sabse accha tarika hai ki tarah tarah ki website se apne account me login na kare gmail.com par hi login kare or akhir me log out karna na bhule. Bahut saari website yesi hoti hai jo aapki mail id ko marketing or product companies ko sale kar deti hai jisse aapka data bhi chori ho sakta hai or faltu ke mails ki barish bhi ho sakti hai. Aur apna Email address har kisi ko na de.
Short summary to create gmail account
Gmail par Email Account Kaise Banaye : Jaisa ki maine pahle bataya hai ki Gmail aapko bahut hi acchi security pradaan karta hai or isme Email id banate time two step verification bahut hi accha hai jisse fake account banane ke bahut hi kam chances hote hai.
Jaisa ki aap sab jaante hai ki
www.gmail.com par jakar or create account bar click karke jab aap apna Email account banate hai to usme saari details bharne ke baad aap se verification ke liye pucha jata hai, jisme sabse niche likha hota hai “prove you’re not a Robot” or uske hi niche ek image me ek captcha code likha hota hai. Us code ko aap type the text box me daal kar “I agree the google Terms of service and privacy policy” par tick mark laga de or next step button par click karde. Aur yadi aap es verification ko nahi karna chahta hai ya isko karne me aapko problem ho rahi hai to aap “skip this verification” par tick mark laga de tab aap se phone verification ka puccha jayega, jo aapke liye bahut asaan hoga. Kabhi kabhi google ko kuch sanka hone par aapse dono verification bhi puchh sakte hai tab aapko dono verification complete karna hota hai