Tuesday, February 21

internet se pese kese kamate hai

             Online income

                                                    Internet aaj hum sab ki jarurat ban gayi hai! kyoki bina internet ka ab koi bhi kaam karna asan nhi hai! kuch log internet par social media used karne ate hai aur kuch log apne business ke liye internet par ate hai! kya aapne kabhi aisa socha hai ki internet se bhi paise kamaya ja skta hai! iska jabab ha hai! kyoki dunia me aise bahut se log hai jo internet se hajar nhi balki laakho kamate hai! internet se koi bhi paisa kama skta hai bus iske liye aapko thoda computer ka gyan aur ek laptop aur iske sath sath thoda internet ka gyan hona cahiye! uske baad aap bhi internet se paise kamana start kar skte hai aaj mai aapko 05 aise tarike bataouga jiska upyog karke aap internet se bahut hi badiya paise kama skte hai bus aap isko dyan purwak Pade aur Samjhe.

1 Blogging

Internet se paise kamane ke mamle me blogging top par hai aap ko blogging suru karne ke liye aachi tarah se likhna ana cahiye aur thoda web design aur HTML ki jankari honi cahiye blogging me aapko ek nya blog banana hota hai phir usme apna likha hua content share karna hota hai! phir aapke blog par traffic ayega jiske karan aapko google adsense se approvel milega aur jab aapko google adsense se aaprovel mil jayega phir aap google adsense ka add apne blog par lga kar acche paise kma skte hai jitna jyada traffic aapke blog par hoga utna hi badiya aapki income hogi aap apne blog par affiliate marketing ke dwara bhi bdiya commision kama skte hai! uske liye aapko affiliate marketing company join karni hogi sub kuch mila kar blogging ek bahut hi badiya tarika hai online internet par paise kamane ka.



   2   Advertising

Jab aap apna blog bna lege to aap apne blog par advertising karke bhi paise kama skte hai lekin iske liye aapke blog ka trafffic bahut badiya hona cahiya aur aapke blog ka page rank bhi accha hona cahiye jab ye dono aapke blog par rahega to aap apne blog par advertising ka ek page bna le aur us par apne blog ka har ek condition rakh de jab koi aapke blog par apne product athwa service ka ads lagayega to phir usko aapko paise dene padege internet par aise bahut sare company hai jo apne product ka advertising blogger ke blog par karna cahte hai! magar iske liye aapko apne blog par badiya se badiya jagah par advertising ke liye jagah dena padega! is trah aap internet par
advertising ke madhyam se bhi bahut hi badiya paise kama skte hai.

 Bidvertiser ke ads lagaye, Agar Adsense Approve nahi hota to

3 Themes Banaye aur Sell kare

Maine aapko suru me hi bola tha ki online paisa kamane ke liye aapko web design aur HTML ka gyan hona jaruri hai! mere hisab se 3sra internet par paise kamane ka badiya tarika themes bankar usko bechna hai! magar aapko themes banane ke liye web design aur html ana cahiye web design paisa kamane ke liye kyo badiya hai kyoki aaj kal blogging bahut jyada bad rha hai aur daily bahut sare naye blogger aa rhe hai aur apna blog bna rhe jab koi nya blog bananta hai to woh sochta hai ki mere blog ka design sabse badiya ho isliye woh internet se apne blog ke liye themes buy karta hai isliye themes bnakar sell karna ek bahut hi badiya idea hai paise kamane ka ek baar aapne themes bna kar sell karna suru kar diya phir aap kuch hi dino me bahut sare paise ghar par bhaith kar kama skte hai.


4 Photo Selling kare

Intenet par image marketing one badiya tarika hai paise kamane ka, yadi aapko image click karne me expert hai aur aapke pass ek badiya quality ka camera ho to aap image click kar ke usko internet par sell karke bahut hi jyada income kma skte hai! image marketing isliye aaj ke date me badiya madhyam hai paise kamane ka kyoki aaj jo bhi internet par bussiness kar rha hai sab ko image ki jarurat padti hai jab kisi ko image ki jarurat padti hai to woh usko online kharid leta hai! aap apna khud ka uniqe image click kare aur usko internet par sell karne ke liye publish kar de! internet

Tuesday, February 14

HTML ME LINK KESE DALE BLOGGER BLOG ME LINK KESE DALE

link ek asa text hota hai jis par click karet hi aap kisi dusare page par redirect kar diye jate hai .links ka upyog ek page se doosre page me jane ke liye kiya jata hai 

es ke liye <a> tag ka upyog kiya jata hai 

es ke liye attributes ye lagta hai 
attributes
href= "page address "

script type="text/javascript"> ( function() { if (window.CHITIKA === undefined) { window.CHITIKA = { 'units' : [] }; }; var unit = {"calltype":"async[2]","publisher":"skoriginal007","width":550,"height":250,"sid":"Chitika Default"}; var placement_id = window.CHITIKA.units.length; window.CHITIKA.units.push(unit); document.write('
'); }());
you also read online pese kese kamate hai

to dosto me aap ko batta ho ki kese blogger blog ke bich me ya  blog ke uper kese apni post ya google ya facebook ka links dalte hai
online pese kese kamate hai
HTML ME LINKS KESE DALTE HAI 

creating links in html

dosto jo ye code niche likha jarahaa hai wahi code links dalne ke kaam aataa hai

<html>
<head>
<title>text formating</title>
</head>
<p>go to facebook <a href="www.facebok.com">
click here</a>
</HTML>


to dosto ye code ke bare me ager kuch or puchha na ho to niche comment me puchhe 
or dosto jayda se jayda share kare 

Friday, February 10

online pese kese kamate hai

         online pese  kamane ke tari ke


Dosto apne Share Market se hone wali jabardast kamai ke bare me jarur suna hoga. Apki bhi iksha hui hogi ki main bhi Share Market me kaam karu. Aap ne dekha hoga ki bahut se log News channel ya News Paper me sirf Share market ke hi News dekhte hai. ve ghar baithe hi Online ya Phone se Trading karte hai aur News channel dekh kar Share Market me Nivesh kar achha kamate hai.





Isme thode vivek se aur soch samajh kar achhe anubhav se kaam kiya jay to aasani se paise kamaye ja sakte hai. Share Market me sabse jyada Utar-Chadhav hote hai,iske sath hi jokhim juda hota hai vo bhi paise ka. Agar aap lambe samay tak dhary rakhne me visvash rakhte hai to aapko Share Market me dhan kamane se koi nahi rok sakta.
Lekin Share Market me nivesh karne se pahle apko achhi tarah se in jaruri bato ko samajh lena chahiye…




Share Kya Hai ?
Share ek hissa hai, dusre sabdo me Share vah hissa hai jo Company ke maliko dwara jari kiye gaye dastavej hai. jo Share Market se kharida jata hai. Share kharidne ya Share malik hone par aap Share dharak Company ke utne pratishat malik ho jate hai. jitne pratishat Share apke pass hai ya kharide ja chuke hai. Jinme malik ke rup me Company ke kuch muddo par voting karne ka adhikar ho jata hai, jab tak us Company ke Share aapke paas hai.



Ye Post Bhi Padhiye –
 Blogging-se-paise-kaise-kamaye-Share Kaise Kharida Ja Sakta Hai ?
Share Kharidne ke liye apko apna Demate/Trading A/C kisi Bank, Company ya Dalal (Broker) ke pass khulvana hota hai. Aajkal sara system Online hai, Aap chahe to Software Download kar ke Sara kam ghar baithe apne Computer ya Leptop se kar sakte hai.
India me pramukh 2 Stock Exchange hai –
National Stock Exchange (NSE)
Bombay Stock Exchange (BSE)
Vaise aap 3 tariko se Share kharid sakte hai. –



Apne Broker (Dalal) Dwara
Khud Online
Initial Public Offring (IPO) ke madhyam se jab koi naya Share Isue karti hai.
Share Kab Kharide Aur Kab Baiche ?





Hum Share kharid sakte hai, lekin sawal uthta hai ki kab kharide aur kab baiche. Aaj hum Stock Market ka hestory dekhte hai to Share Market 5 saal me 1 ya 2 moke aise jarur deti hai. Jahan-Jahan Market bahut niche chali jati hai tatha bahut upar lagbhag naye record banati hai. Jahan jab Share Market niche jati hai to log bolne lagte hai, abhi aur niche jayega. Thik iske viprit, jab Stock Market upar jati hai to log bolne lagte hai ki Market abhi aur upar jayega. Atah nichale staar par hum kahrid nahi pate aur upar ke staar par bech nahi pate. Aise samay me hume moke ke anusar thoda-thoda karke kharidna chahiye tatha usi prakar baichna chahiye. Dhyan rahe ki Market humesha Graf ke hisab se chalti hai na ki sidhi ya tedhi line anusar.




Ataah: Sasta kharid kar Mahange  me bech dena chahiye yahi Share Market me paise kamane ka sutra hai.

Wednesday, January 11

GMAIL ID KESE BANAYE



Gmail Par Email Account Kaise Banaye – ईमेल आईडी कैसे बनाये


Gmail Par Email Account Kaise Banaye

Hello friends, aaj ka hamara topic he Gmail par Email Account Kaise Banaye. Aaj ki duniya mai har koi chahta hai ki uske pass ek email account ho. Sari duniya ab internet par aa gayi hai. Agar koi job ke liye apply karta hai to use email account lagta hai. Koi agar bank account banata hai to use bhi aaj kal email account lagata hai. Email account aaj kal ke jamane me ek important chij ban gayi hai. Abhi school aur colleges mai bhi padhane lage hai ki Email Id kaise banate hai.

Email Account ki jarurat

Aaj me aapko bade hi saral tarike se bataunga ki Gmail par Email account kaise banate hai or saath hi apne Email account ko safe kis tarah rakh sakte hai. Aaj kal hum jaha kahi bhi jaate hai to hum dekhte hai ki lagbhag har jagah aap se Email id maangi jaati hai, chahe wo online transaction ho, college, Banks, Government offices, jobs, marketing etc. Yaha tak ki aap jo computer, laptop, mobiles chala rahe hai unme bhi bahut saare software, Apps, registration, online shopping etc ke liye bhi Email id ki jarurat padti hai. Kul milakar ye kah sakte hai ki aaj ke yug me Email id hona bahut jaruri hai. Email account dene wali Gmail seva ke bare me hum janenge. Chalo to fir padhate he Gmail Kya hai, aur Gmail par Email Account Kaise Banaye.

Google Gmail Kya Hai

Email account ek messenger hota hai jisme aap apna Account banakar apni Email id or password create kar sakte hai. Gmail ek Google ki hi service hai jiske dwara aap text, images, document and other attachment kisi dusre person ko send or receive kar sakte hai. Aapki Email id do part me hoti hai, pahli to aap jo apni id name chunte hai or dusri Google ki virtual id jo change nahi hoti hai. Ye virtual id aapki mail id ko @ se do part me baant ti hai. Aap jo apni mail id ek baar bana lete hai to wo id pure world me sirf ek hi banti hai fir koi or us naam ki same mail id nahi bana sakta, for example abcd123@gmail.com.
Gmail par hi Email Account kyo banaye
Dosto Gmail Google ki hi ek service hai jo aapko ek acchi facility or security provide karta hai. Aap chahe to Yahoo mail, hot mail, Rediff mail par bhi apna Email account banakar apni mail id bana sakte hai, lekin aap agar Gmail par hi apni Email id banate hai to aap badi hi asaani se google ki other services ka bhi use kar sakte hai. Saath hi aapko apne mobile phone me play store or other apps par bhi account banane me asaani hoti hai. Aur aap apne Google account ko mobile se connect karke Google ki bahut saari services, products, Blog etc ko bhi asaani se use kar paate hai.

Gmail account banane ke procedure

Gmail ye Google ki ek free service he jisse hum free mai hamara email account create kar sakate hai. Account banana ke liye hame jana hoga gmail ki website par jo he www.gmail.com. Pehle aap apna web browser khole. Usme www.gmail.com type kare aur wo website open kare.
GMail Kya Hai
GMail Kya Hai
Agle screen  mai aapko ye screen dikhayi degi.
Create Account button par click kare.
Is screen par Create Account button par click kare.
Gmail par Email Account Kaise Banaye
Gmail par Email Account Kaise Banaye
Agli screen aisi dikhegi.
Email Account Ki Details Bhare
Email Account Ki Details Bhare
Yaha aapko aapki jankari bharni hai.
Apka naam, aapka gender, aapka phone number aur sabse important aapka gmail id. Jo id aapka Choose your username is box me likhana hai. Example : abcde.fghijk@gmail.com.
Saari jankari bharne ke bad aapko apna mobile number verify karna he. Filhal Next Step button par click kijiye.

Phone Number Verify Kare

Agle screen par aapko apna mobile number verify karna he, Google ye pata lagata he ki jo account aap bana rahe he wo sach me aapka account he ya nahi, isse fake accounts banana ki bohot kam chances rehte he.Is process me aapko apna mobile number Phone Number box me dalna he.aur Continue button par click karna he. Aapko aise screen dikhegi.

Email Account Kaise Verify Kare
Email Account Kaise Verify Kare
Continue button par click karne ke bad aapke mobile par ek message aayega, us message me Google ne ek code send kiya hoga wo code 5 digit code rehta he, wo code bohot important hai, uske bager aap email account nahi bana sakte.
Phone Number Verify Kare
Phone Number Verify Kare
Wo code aapko is box me likhna he aur Continue button par click karna hai.

Email me login Kare

Uske bad aapka email account tayar ho jayega. Aapke pas aapka khudka email account hoga, abhi aap firse www.gmail.com par jaye. Waha apna email id aur password dale aur login kare. Login karne ke bad aap kisiko bhi Email send kar skte ho, Bahar se aaye hue emails padh sakte ho. Jab aapka kam ho jaye to log out karna na bhule. Aur aapka Gmail ka password kisi ko na de. Nahi to aapka Gmail account hack ho sakta he.

Mail kaise bheje

Apna Email account kholne ke baad aap Compose par click kare or isme aap-
To: me us person ka Email Address daale jise aap mail bhejna chahte hai.
Cc: me aap uska Email address daal sakte hai jisko es mail ki carbon copy matlab duplicate copy bhejna chahte hai.
Bcc: me aap us person ka Email address daal sakte hai jisko aap duplicate ki duplicate copy bhejna chahte hai.
Subject: me aap mail se juda huya topic daal sakte hai.
In sab ke baad aap mail type kar sakte hai or attachment me choose file par click karke koi bhi file chun sakte hai or akhir me send par click karde. Aapka mail send ho jayega.

Email account ko safe kaise kare

Email account ko safe rakhne ka sabse accha tarika hai ki tarah tarah ki website se apne account me login na kare gmail.com par hi login kare or akhir me log out karna na bhule. Bahut saari website yesi hoti hai jo aapki mail id ko marketing or product companies ko sale kar deti hai jisse aapka data bhi chori ho sakta hai or faltu ke mails ki barish bhi ho sakti hai. Aur apna Email address har kisi ko na de.

Short summary to create gmail account

Gmail par Email Account Kaise Banaye : Jaisa ki maine pahle bataya hai ki Gmail aapko bahut hi acchi security pradaan karta hai or isme Email id banate time two step verification bahut hi accha hai jisse fake account banane ke bahut hi kam chances hote hai.
Jaisa ki aap sab jaante hai ki www.gmail.com par jakar or create account bar click karke jab aap apna Email account banate hai to usme saari details bharne ke baad aap se verification ke liye pucha jata hai, jisme sabse niche likha hota hai “prove you’re not a Robot” or uske hi niche ek image me ek captcha code likha hota hai. Us code ko aap type the text box me daal kar “I agree the google Terms of service and privacy policy” par tick mark laga de or next step button par click karde. Aur yadi aap es verification ko nahi karna chahta hai ya isko karne me aapko problem ho rahi hai to aap “skip this verification” par tick mark laga de tab aap se phone verification ka puccha jayega, jo aapke liye bahut asaan hoga. Kabhi kabhi google ko kuch sanka hone par aapse dono verification bhi puchh sakte hai tab aapko dono verification complete karna hota hai

Wednesday, July 6

Gmail ka password aise badle


Gmail ka password kaise badle

Google Gmail ka password change karne ke liye sabse pehle mail.google.com apne Gmail account mai login kare.   





Apni ID password daalkar Sign In kare




Sign in Karne ke baad upar right corner me jakar gear  button par click kare. Ek dropdown khul jaega, is dropdown me se Settings par click kare




Settings me jakar Account Tab par click kare








Account tab kholkar Change password par click kare. Aur change password par click karte hi ek naya page khul jayega. Is page me dobara se apna password bhare.





Ab Gmail aapko apka naya Password dalne ko kahega, Dono fields me naya password daal kar, CHANGE PASSWORD par click karde.



Change password par click karte hi aapka password change ho jayega.              Dosto like and share karee ager post kaam aai to thx

Mobile phone se Gmail ka password kaise change kare

Mobile phone se Gmail ka password kaise change kare



          Hello dosto,  Mere   bahut  sare dosto ne muze  puchha  ki  Gmail  ka   password   kaise badalte  hai.ham  kisi website  ki post update prapt  karne ke liye  Email subscribe karte  hai kai  baar eisa  hota   hi   ki    sabhi website  legal  nahi  hoti  hai, aaj ka internet ke Yug  me kabhi  bhi  Gmail  ka password heck ho  sakta hai. Kabhi  kabhi ham aap ne dost  ko bhi password  bata  dete  hai.   Dosto me to  kahta  hu ki  har 1-2 months ke baad aapna Gmail ka password badale.

SK ORIGINAL HUB you also read online pese kese kamate hai
         
   Aab ham Gmail ka password change kar te hai wo bhi aapne  mobile  phone  se kyu  ki bahut  sare eise  dost hai  jiske paas computer  nahi hota is  liye  phone se hi password ko badal na sikh lete hai.

1- sabse pahale aapne  browser me
myaccount.google.com  type kariye. Aur Gmail Id aur aapna password dalke log in ho jaye.


 2- Aab sign in & security me jaayiye.


3-password likha huva hai us pe click kariye.

  4-click karne ke baad me aap ki  G mail id aaye gi or uske niche apne old password likhana h
                                                           5-   aab aap apana password change kar sakate hai. New password daliye uske baad confirm new password likhiye. Uske baad change password pe click kariye. Aab aapka password change ho gaya hai.

    Dosto aagar ye post aap ko achhi lagi or aap ke kaam aaye to like or share kare thx